Archive for the ‘Shayari’ Category

Yaad hai

Thursday, October 1st, 2009

Chupke chupke muskarana yaad hai…
Tujhse woh nazre milana yaad hai.

Meri aahat pe machalna dil ka aur…
Teri choodiyon ka khankhanana yaad hai.

Dekh ke mujhko simat jaana aur…
Tera zara sa muskarana yaad hai.

Meri har baat pe rooth jaana aur…
Tujhko manaana yaad hai.

Zindagi bhar sath goge tum mera…
Apna woh vaada puraana yaad hai.

Nahin milti

Chupke chupke muskarana yaad hai…
Tujhse woh nazre milana yaad hai.

Meri aahat pe machalna dil ka aur…
Teri choodiyon ka khankhanana yaad hai.

Dekh ke mujhko simat jaana aur…
Tera zara sa muskarana yaad hai.

Meri har baat pe rooth jaana aur…
Tujhko manaana yaad hai.

Zindagi bhar sath goge tum mera…
Apna woh vaada puraana yaad hai.

Nahin milti

Dil ki sab khwahishein kabhi puri nahin hoti,
Har raah mil bhi jaye par manzil nahin milti,
Pyaar ho bhi jaye aapko kisi se agar,
Pyaar karne ki izazat sabko nahin milti.

Chahe jitni bhi karlo tum bhalai magar,
Marne se yahaan sabko jannat nahin milti,
Sagar ki boond se banta hai moti to kya,
Sagar ki har boond moti nahin banti.

Manzilein aur bhi hai

Har muqaam pe lagta hai ke manzilein aur bhi hai…
Rasta abhi baaki hai bahut ke manzilein aur bhi hai.

Saahil se takrakar laut jaati hai har leher…
Saahil uske aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai.

Dhal jaata hai suraj bhi har shaam…
Subah abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai.

Jindagi maana humne dhadkano ki mohtaaz hai…
Saanse abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai.

Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi…

Thursday, October 1st, 2009

Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi…

Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaon ki jaza milti rahi.
Cherd kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha ‘Rahat’ ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti rahi.

Tum ko dekha to yeh khayaal aya…

Tum ko dekha to yeh khayaal aya…
Zindagi dhoop, tum ghana saaya.

Aaj phir dil ne ik tamannaa ki…
Aaj phir dil ko hum ne samajhaya.

Tum chale jaoge to sochenge…
Hum ne kya khoya, hum ne kya paya.

Hum jise gunguna nahin sakte…
Waqt ne aisa geet kyun gaya.

Tum ko dekha to yeh khayal aya…
Zindagi dhoop tum ghana saaya.

Itna toota hoon…

Itna toota hoon ki chune se bikhar jaunga…
Ab agar aur dua doge to mar jaunga.

Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo…
Main to banjara hoon, kya jane kidhar jaunga.

Har taraf dhund hai, jugnu hai na chirag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaunga.

Zindagi, main bhi musafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh se kahegi main utar jaunga.

Phool rah jayenge guldaan mein yado ki nazar,
Main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaunga.

Itna toota hoon ki chune se bikhar jaunga…
Ab agar aur dua doge to mar jaunga.

Ibaadat

Pyaar ke naam par hum nijaarat nahin karte…
Dil toot bhi jaye to shikayat nahin karte.
Bharosa hain khud par, wahi sawanrega zindagi…
Tumhari tarah dikhawe ki ibadat nahin karte.

Yaad ayi hogi, jab shaam hui hogi…
Kuch pal ko hi sahi tu pareshan hui hogi.
Yaad ayi hogi jab mere pyaar ki baatein…
Nazarein jhuka kare tu pareshan hui hogi.

Meri aashiqui dard ki kahani ban gayi…
Aur zindagi gum ki nishani ban gayi.
Main tere pyaar mein itna badnaam hua hoon…
Ki ruswai ki pehchaan yeh jawaani ho gayi.

Toot kar reh gaya woh rishta ulfat ka…
Main nishaana ban gaya jahaan ki nafrat ka.
Mere saamne zikr wafaon ka naa kar dost…
Main thukraya hua hoon isi pyaar aur mohabbat ka.

Har ek simt andhera hain, raahein hain anjaan…
Sooni har pagdandi hain, manjil bhi hain veeran.
Tanha tanha chalta hoon, rota aur sisakta hoon…
Har dhadkan sooni hain, saans saans sunsaan.

Rishta ulfat ka yun nibhaya jaata hain…
Ashk peekar bhi muskaraya jata hain.
Aisa bhi modh aata hain mohabbat mein…
Kisi ke khaatir khud ko mitaaya jaata hain.

Ruswa is tarah naa yeh kahaani hoti…
Baat agar tumne humaari maani hoti.
Sapne bhi hote poore, zindagi bhi saj jaati…
Tere hontho par agar wafa ki kahaani hoti.

Wafaa fareb hain, aur chaahat ek dhokha…
Khudgarzi ke daur mein kaun kisi ka hota.
Kis dost par bharosa hum kare…
Choora ghop deta hain, milta jab use mauka.

Tum ko dekha to yeh khayaal aya…

Thursday, October 1st, 2009

Tum ko dekha to yeh khayaal aya…

Tum ko dekha to yeh khayaal aya…
Zindagi dhoop, tum ghana saaya.

Aaj phir dil ne ik tamannaa ki…
Aaj phir dil ko hum ne samajhaya.

Tum chale jaoge to sochenge…
Hum ne kya khoya, hum ne kya paya.

Hum jise gunguna nahin sakte…
Waqt ne aisa geet kyun gaya.

Tum ko dekha to yeh khayal aya…
Zindagi dhoop tum ghana saaya.

Itna toota hoon…

Itna toota hoon ki chune se bikhar jaunga…
Ab agar aur dua doge to mar jaunga.

Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo…
Main to banjara hoon, kya jane kidhar jaunga.

Har taraf dhund hai, jugnu hai na chirag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaunga.

Zindagi, main bhi musafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh se kahegi main utar jaunga.

Phool rah jayenge guldaan mein yado ki nazar,
Main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaunga.

Itna toota hoon ki chune se bikhar jaunga…
Ab agar aur dua doge to mar jaunga.

Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi…

Thursday, October 1st, 2009

Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi…

Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaon ki jaza milti rahi.
Cherd kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha ‘Rahat’ ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti rahi.

Lamha lamha

Thursday, October 1st, 2009

Lamha lamha bheed me tanha raha…
Dil mein awajon ka ek daria raha.

Khol kar par li to thi parwaz par…
Lautkar wapas zamin par aa raha.

Tha shab ka nazara roz sa…
Door koi tara tutta sa laga.

Pyar lahron ka kinare ke lie…
Pattharon par sar patak lautta raha.

The safar me saath-saath chalte hue…
Phaslon ka beech me sahra raha.

Pyar ki shiddat bayan hai ankhon se aj bhi…

Dost dil ke kareeb hote hai…

Thursday, October 1st, 2009

Jo tahreer likhi dil pe ankhon se koi pad le…
Bin bole hi koi har bat meri sun le.

Yeh khwab bhi yaron kitne ajeeb hote hain…
Wo jinko hasil hai kurbat teri…
Wo bade khushnaseib hote hain.

Hum jise chahe use pa hi lein…
Aise kaha sabke naseeb hote hain.

Pas hon ya ki door hote hain…
DOST DIL ke KAREEB hote hain.

Fir ayi hai yaad…

Thursday, October 1st, 2009

Fir ayi hai yaad lie bujhi shammaon ki roshni…
Palkon par bikhre hue khwabon ki chandni.

Kuch sukhe hue phulon ki bikhri hui khushboo…
Kuch tute hue taron ka faila hua jadoo.

Tanha se is sahar me tanha si shaam par…
Tanha si jindagi ke is tanha makaam par.

Khoi hui manjil ki chahat ka nasha lekar…
Khoe hue ghar ki rahon ka pata lekar…

Fir ayi hai yaad lie bujhi shammaon ki roshni…
Palkon par bikhre hue khwabon ki chandni.

Shayaris.. Toote huye dil ki awaaz…

Thursday, October 1st, 2009

Mohabbat mujhe thi unse itni,
Unki yaadon mein dil tadapta raha…
Maut bhi meri chaahat ko rok naa saki,
Kabr mein bhi dil dhadakta raha.

Dil ke dard ko lafzon mein dhaala naa gaya,
Gam ke aansuon ko aankhon se nikaala naa gaya…
Usne mujhe dard is liye diya,
Kyunki usse mera pyaar sambhala naa gaya.

Jisne humko chaaha, use hum chaah naa sake,
Jisko chaaha, use hum paa naa sake…
Yeh samajh lo dil tootna khel hain,
Kisi ka todkar apnaa bhi bacha naa sake.

Ishq karne wale aankhon ki baat samajh lete hain,
Sapno mein woh mil jaye to mulakaat samajh lete hain…
Rotaa to aasmaan bhi hain pyaar ke liye,
Par log use barsaat samajh lete hain.

Woh keh gaye humse ki woh ab hume sapno mein hi milne aayenge…
Koi jaa kar keh de unhe…
Woh aane ka waada to kare,
Hum hamesha ke liye so jayenge.

Nasha hum karte hain, ilzaam sharaab ko diya jaata hain…
Par ismein kasoor sharaab ka nahin…
Kasoor to unkaa hain jinkaa chehraa humein har jaam mein nazar aata hain.

Jiyo itnaa ki marnaa mushkil ho jaye,
Hason itnaa ki ronaa mushkil ho jaye…
Kisiko chaahna achhi baat hain,
Magar chaaho itnaa ki bhulaana mushkil ho jaye.

Kitni jaldi yeh shaam guzar jaati hain,
Pyaas bhujti nahin aur barsaat guzar jaati hain…
Apni yaadon se keh do ki yun hume sataaya naa kare,
Neend aati nahin aur raat guzar jaati hain.

Tanhaaii se nahin, mehfil se dartaa hoon,
Duniyaa se nahin, khud se dartaa hoon…
Yun to bahut kuch khoya hain humne,
Par naa jaane kyun tumhe khone se dartaa hoon.

Nadiyon ke kinaare chooth jaate hain,
Aasmaan se taare toot jaate hain…
Zindagi ki raah mein aksar aisa hota hain,
Jinhe hum chaahte hain wahi rooth jaate hain.

Woh aate to hain magar tan se nahin,
Baithte to hain magar man se nahin…
Kaun kegta hain woh pyaar nahin karte,
Karte to hain magar humse nahin.

Ek din humare aansu humse pooch baithe,
Hume roz roz kyun bulaate ho…
Humne kaha…
Hum yaad unhe karte hain,
Tum kyo chale aate ho.

Kalam uthai hain lafz nahin milta,
Jisko dhoondhte hain woh shaks nahin milta…
Ghoomte hain woh zamaane ki talaash mein,
Bas humaare liye hi unhe waqt nahin milta.

Paane se khone ka mazaa aur hain,
Band aankhon se dekhne ka mazaa aur hain…
Aansu bane lafz aur lafz gazal,
Teri yaadon ke saath jeene ka mazaa aur hain.

Ishq kiya tujhse mere aitbaar hi hadd thi,
Ishq mein de di jaan mere pyaar ki hadd thi…
Marne ke baad bhi khuli ti aankhein,
Yeh mere intezaar ki hadd thi.

Mohabbat ke kuch aise armaan bhi armaan hote hain…
Jaagti aankhon mein bhi khwaab hote hain.
Kaun kehta hain ki gum mein hi aansu nikalte hain…
In muskaraati aankhon mein bhi sailaab hote hain.

Log apno ki baat karte hain…
Humne gairon ko bhi aazmaaya hain.
Log to kaanton se bach ke nikalte hain…
Humne to phoolon se zakhm khaya hain.

Agar karni thi bewafai to pehle bata dete…
Duniya badi haseen thi…
Hum kisi aur se dil laga lete.

Phool khilna chaahta hain…
Kali khilne nahin deti.
Dil milna chaahta hain…
Kismat milne nahin deti.

Khwab ke aashiyan par bijli gira di…
Meri hasraton ko khakh mein mila di.
Usi bewafa ne wafa ki kadr naa ki…
Jiske pyar mein humne hasti mita di.

Ki log pyaar kyu karte hain kisi ko…
Jab woh us pyaar ko nibha nahin sakte.
Kyu thamte hain wo hath apne hatho mein…
Jin hatho ko sari umr tham nahin sakte.

Jab bhi koi rishta kabhi tutata hain…
Pyar se thama koi hath jab chutata hain.
Dil mera tujhe karke yad hota hain udas…
Aur mujhse fir woh ek sawal puchta hain.

Dard se dosti ho gai dosto…
Zindgi bedard ho gai dosto.
Aur kya hua jo jal gaya ashiyana humara…
Dur talak roshni ho gayi dosto.

Har khamosi ka matlab inkar nahin hota…
Har nakamiabi ka matlab har nahin hota.
Kya hua hum unko pa naa sake…
Sirf pane ka matlab hi to pyar nahin hota.

Aankhon mein aansu aa jaate hain,
Phir bhi labho pe hasi rakhni padti hain…
Yeh mohabbat bhi kya cheej hain yaaron,
Jinse karte hain unse hi chupaani padti hain.

Dil me toofan tha

Thursday, October 1st, 2009

Dil me toofan tha
Aur man becchain tha
Unjaan ghatna se hum bekhabar the
Aarzoo thi unse baat karne ki
Kya hua yeh jaanne ki

Chhar roz gujharte jaise cchar yug beetein
Phir bhi humari aas nahin tutein
Unke waadein hur baar yaad aaye
Wah bewafa honge yeh dil nahin maane
Zindagi unke bina jiye nahin jaaye
Jhooth ka sahara ab liye nahin jaaye
Ek hi raasta nazar ab aaye
Eh maalik, teri duniya me ab dil nahin lage

Humari zindagi nahin humare haath me
Jo khuda cchahta hai wahi hota hai unt mke
Maut ke mukh se wapas hum laute
Usi zindagi me jo ab hai maut se bhi badtar

Kucch raaz khul gaye jab rahe maut ke darwaaze
Sacchai ko gale lagaya dil ko mazboot karke
Hum sab kasoor hodhe apne hi sar pe
Lekin unke daaman pe daag nahin lagaye

Shatranj ka khel khela gaya humse
Duniya ne jab kiya saamna unse
Aakar kucch aur hi bataya gaya humse
Aur unki bewafai phenki gayee mukh pe

Hum bahoot kamzor the dil ke halat se
Unki zubaan se sacch sunna cchahte the
Unke inkaar se tadap ke rah gaye
Ek baar phir jeewan se haar gaye

Unke sab nishaan ccheen liye gaye
Unki cchitthiyan le gayee jhor se
Aapne dostton ke saamne be-izzat kiye gaye
Pinjare me pancchi ki tarah
Phadfadate hi rah gaye

Humne haath jod aapna kasoor mana
Aur us kasoor ki mangi sazaa
“Aapne jeewan se phenk do humko
Aur kardo humko pariwar me badnaam”

Shayad humari sazaa yehi hai
Jisko aapni aatma arpan ki
Aapna humsafar aur humnawaz mana
Wah bhi hume kasoor war kahta hai

Humare jajhbaat ki koi bayan nahin
Humare pyar ki koi jhubaan nahin
Yeh dil hi sirf gawah hai
Yeh pyar kitna pavitra hai napaak nahin

Door hi se saath cchaha tha
Unke pyar ki cchaon cchahi thi
Gham ka pahad nahin cchaha tha
Khushiyon ki bahar hi cchahi thi

Ek baar jeene ke liye

Thursday, October 1st, 2009

Ek baar jeene ke liye sau baar mare hain hum

Ek muskurahat ke liye kitna siska yeh ghum

Yeh jeewan jalta bhi nahin

Kitna jalaya isne har dum

Ek lamha jo chup gaya aasmaan tale

Dhoondtey phir rahein hain bus umar bhar se hum

Meri khamoshiyaan ban gayi mere gunah

Har pal naya gunah karta raha yeh mann

Umeed ki yeh lau kyon nahin bhujhti

Tham gayi jab yeh saason ki sarghum

Kis taraf jaa raha hoon,kyon jaa raha hoon

Koi bata de mujhe kahan le jaayenge yeh kadam

Apni majbooriyon se naraaz hai yeh dil

Majbooriyon ke liye uthaye gaye zindagi tere sitam

Aasoon main bheega yeh mann yeh aanchal

Ik hansi ki chah main ab tak aankhein hain yeh num.