Posts Tagged ‘basti, mein, agar, jaunga, zindagi’

Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi…

Thursday, October 1st, 2009

Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi…

Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaon ki jaza milti rahi.
Cherd kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha ‘Rahat’ ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti rahi.

Tum ko dekha to yeh khayaal aya…

Tum ko dekha to yeh khayaal aya…
Zindagi dhoop, tum ghana saaya.

Aaj phir dil ne ik tamannaa ki…
Aaj phir dil ko hum ne samajhaya.

Tum chale jaoge to sochenge…
Hum ne kya khoya, hum ne kya paya.

Hum jise gunguna nahin sakte…
Waqt ne aisa geet kyun gaya.

Tum ko dekha to yeh khayal aya…
Zindagi dhoop tum ghana saaya.

Itna toota hoon…

Itna toota hoon ki chune se bikhar jaunga…
Ab agar aur dua doge to mar jaunga.

Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo…
Main to banjara hoon, kya jane kidhar jaunga.

Har taraf dhund hai, jugnu hai na chirag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaunga.

Zindagi, main bhi musafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh se kahegi main utar jaunga.

Phool rah jayenge guldaan mein yado ki nazar,
Main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaunga.

Itna toota hoon ki chune se bikhar jaunga…
Ab agar aur dua doge to mar jaunga.

Ibaadat

Pyaar ke naam par hum nijaarat nahin karte…
Dil toot bhi jaye to shikayat nahin karte.
Bharosa hain khud par, wahi sawanrega zindagi…
Tumhari tarah dikhawe ki ibadat nahin karte.

Yaad ayi hogi, jab shaam hui hogi…
Kuch pal ko hi sahi tu pareshan hui hogi.
Yaad ayi hogi jab mere pyaar ki baatein…
Nazarein jhuka kare tu pareshan hui hogi.

Meri aashiqui dard ki kahani ban gayi…
Aur zindagi gum ki nishani ban gayi.
Main tere pyaar mein itna badnaam hua hoon…
Ki ruswai ki pehchaan yeh jawaani ho gayi.

Toot kar reh gaya woh rishta ulfat ka…
Main nishaana ban gaya jahaan ki nafrat ka.
Mere saamne zikr wafaon ka naa kar dost…
Main thukraya hua hoon isi pyaar aur mohabbat ka.

Har ek simt andhera hain, raahein hain anjaan…
Sooni har pagdandi hain, manjil bhi hain veeran.
Tanha tanha chalta hoon, rota aur sisakta hoon…
Har dhadkan sooni hain, saans saans sunsaan.

Rishta ulfat ka yun nibhaya jaata hain…
Ashk peekar bhi muskaraya jata hain.
Aisa bhi modh aata hain mohabbat mein…
Kisi ke khaatir khud ko mitaaya jaata hain.

Ruswa is tarah naa yeh kahaani hoti…
Baat agar tumne humaari maani hoti.
Sapne bhi hote poore, zindagi bhi saj jaati…
Tere hontho par agar wafa ki kahaani hoti.

Wafaa fareb hain, aur chaahat ek dhokha…
Khudgarzi ke daur mein kaun kisi ka hota.
Kis dost par bharosa hum kare…
Choora ghop deta hain, milta jab use mauka.

Tum ko dekha to yeh khayaal aya…

Thursday, October 1st, 2009

Tum ko dekha to yeh khayaal aya…

Tum ko dekha to yeh khayaal aya…
Zindagi dhoop, tum ghana saaya.

Aaj phir dil ne ik tamannaa ki…
Aaj phir dil ko hum ne samajhaya.

Tum chale jaoge to sochenge…
Hum ne kya khoya, hum ne kya paya.

Hum jise gunguna nahin sakte…
Waqt ne aisa geet kyun gaya.

Tum ko dekha to yeh khayal aya…
Zindagi dhoop tum ghana saaya.

Itna toota hoon…

Itna toota hoon ki chune se bikhar jaunga…
Ab agar aur dua doge to mar jaunga.

Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo…
Main to banjara hoon, kya jane kidhar jaunga.

Har taraf dhund hai, jugnu hai na chirag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaunga.

Zindagi, main bhi musafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh se kahegi main utar jaunga.

Phool rah jayenge guldaan mein yado ki nazar,
Main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaunga.

Itna toota hoon ki chune se bikhar jaunga…
Ab agar aur dua doge to mar jaunga.